Pakad

Ek jhoot dikha do aisa, jo sach maan loon main
Bhare ujaale mein hai andhera, thaan loon main
Khayal mein khone se kyun darr nahi lagta
Wahan kyun dhoop ka teekha asar nahi lagta
Ek pakad hai khayalon pe, jiski taras hai asal mein
Haath se behta paani hai warna, kal aaj aur kal mein
Deewarein banayi hain khayalon se chaaron oar maine
Tabhi toh roz toofanon pe aazmaya hai zor maine
Pakad meri hai ya khayalon ki, kabhi sochta hoon main
Jaane kyun iss tarah, deewaron ko kharonchta hoon main

No comments: